Posts

Showing posts from July 2, 2017

Aye zindgi (अये ज़िंदगी) !

Aye zindgi ! Mil kabhi achanak se yun hi Ki mujhe teri kami si lag rhi Kal ki aayi khushi ko keh de thehar jane ko Aaj ki barish se keh de haule barse jara Koyal ki kuk ki kami si lag rahi aaj Garjte badalo ne unhe rok liya hai Zara waqt mile to aana chutti lekar Bahut si baate karni hai tumse milkar Sunhre se mausam halki barish ,halka dhoop khila ho Hawaye jo tez hai wo haule haule chal rahi ho Meri pyari koyal jab kukne lagi ho Aur aasman saaf neela ho ,bina kisi kale badal ke Tab milna aur chai ki pyali lekar Yahi balcony me baithkar guftagu karenge Mujhe intzaar rahega tera aana jarur ...bahut kuchh hai kehne ko Par adhure pan ki adat hai mere kahaniyo ko bhi Jaisi adhuri si hai zindgi meri !!! Pragya Thakur

आकाश अनंत

बस एक अंत है जीवन का आकाश और वही आकाश अनंत है जीवन की इच्छाओं का उसी ने समेटे शीतलता चाँद की , और वही ताप समेटे सुरज सा उसी की कोई सुरूवात नहीं दिखती और ना ही उसके अंत का कोई पता बस वही आकाश  सच है शांत दूर तक फैला हुआ !!! प्रज्ञा