Aye zindgi (अये ज़िंदगी) !
Aye zindgi !
Mil kabhi achanak se yun hi
Ki mujhe teri kami si lag rhi
Kal ki aayi khushi ko keh de thehar jane ko
Aaj ki barish se keh de haule barse jara
Koyal ki kuk ki kami si lag rahi aaj
Garjte badalo ne unhe rok liya hai
Zara waqt mile to aana chutti lekar
Bahut si baate karni hai tumse milkar
Sunhre se mausam halki barish ,halka dhoop khila ho
Hawaye jo tez hai wo haule haule chal rahi ho
Meri pyari koyal jab kukne lagi ho
Aur aasman saaf neela ho ,bina kisi kale badal ke
Tab milna aur chai ki pyali lekar
Yahi balcony me baithkar guftagu karenge
Mujhe intzaar rahega tera aana jarur

...bahut kuchh hai kehne ko
Par adhure pan ki adat hai mere kahaniyo ko bhi
Jaisi adhuri si hai zindgi meri !!!
Pragya Thakur
Par adhure pan ki adat hai mere kahaniyo ko bhi
Jaisi adhuri si hai zindgi meri !!!
Pragya Thakur
Comments
Post a Comment